Gulon Main Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale Gulon Main Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobaar Chale Qaffas Udaas Hai Yaro, Saba Se Kuch To Kaho Kahin To Bahr-E-Khuda Aaj Zikr-E-Yaar Chale Kabhi To Subh Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aagaz Kabhi To Shab Sar-E-Kaakul Se Mushkabaar Chale Bada Hai Dard Ka Rishta, Ye Dil Garib Sahi Tumhaare Naam Pe Aayenge Gamgusaar Chale Jo Ham Pe Guzri So Guzri Magar Shab-E-Hijraan Hamaare Ashk Teri Aaqabat Sanwaar Chale Huzoor-E-Yaar Hui Daftar-E-Junun Ki Talab Girah Main Leke Garebaan Ka Taar Taar Chale Maqaam 'Faiz' Koi Raah Main Jacha Hi Nahin Jo Ku-E-Yaar Se Nikle To Su-E-Daar Chale Best Poetry Images http://www.shaheenz.com | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment