Ain manzil pe hoi shaam Ain manzil pe hoi shaam to phir kia hoga Justaju yoon hoi nakaam to phir kia hoga Shama umeed jalai to hay darte darte Bujh gai yeh bhi sar e shaam to phir kia hoga Daman e sabr choota jata hay hathon se mere Aagaya lab pe tera naam to phir kia hoga Mujh ko aghaaz ki talkhi bhi gawaara likin Ho jo aghaaz hi anjaam to phir kia hoga Muskuraate howay darta hoon k ho yeh bhi agar Sazish e garsh e ayaam ,to phir kia hoga Is mohabat se sar e bazm meri taraf na dekh Hath se *** gaya jaam to phir kia hoga Pehli manzil pe hi Iqbaal yeh dil ka aalam Aik mazil ho ba har gaam to phir kia hoga..... |
|
SANAM
--You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment