Milkar juda huye tho na soya karenge hum Ek doosre ke yaad mein roya karenge hum
Aansoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar Moti palak palak mein piroyaa karenge hum
Jab dooriyon ki yaad dilon ko jalaayegi Jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum
Gar de gaya daga hamen toofan bhi 'qateel' Sahil pe kashtiyoN ko dooboya karenge hum
Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe Ke sang tujhpe gire aur zakhm aaye mujhe
Wo meharbaan hai tho ikraar kyoon nahin kartha Wo badgumaan hai tho sau baar aazmaaye mujhe
Wo mera dost hai saare jahaan ko hai maaloom Daga kare wo kisi se tho sharm aaye mujhe
Main apni zaat mein neelam ho raha hoon 'qateel' Gham-e-hayaat se keh do khareed laaye mujhe Best Poetry Images http://www.shaheenz.com | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment