~*~*~Zindgi karke kinaara~*~*~
jab zindgi karke kinaara guzar gayee fir zikr kyaa karein voh kahaan kidhar gayee
yeh to nahin gilaa sung maare raqeeb nein dekha tujhe jo saath zaraa aankh bhar gayee
chhupaana logon se to naa mushkil kabhi huaa aa-i-na jab bolne lagaa meri zaat dar gayee
chaahat ki raah pe mukaam roshan kiye bahut mohabbat wafa dosti na teri nazar gayee
naam wafaa ka lekar jo detaa rahaa dagaa kyoN uske intzaar mein tamanna thehar gayee
kiski talaash thee na boond abar per ruki sehra mein jaa jali bahr-o-bahar gayee
gaati thee "Ashk" akasar vo larki teri ghazal kar soona maazi ki gali kis shaher gayee |
Sobia
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment