=== Dekh Raha Huun ===
Har-aik ruuh kii saanson pe wazan dekh raha huun mein har-aik sakhs ke haathon mein kafan dekh raha huun
Ai khirad-mandon khuda hone ka daavaa na karo mein to insaan mein aadam ko bhii kam dekh raha hoon
Yeh hawaaon mein zahar aur yeh biimaar fiza kal ko jo hona hai anzaam-e-chaman dekh raha hoon
Yeh khudaaon ke liye qatl-e-khuddai choRho nasl-e-aadam mein tabaahi ka chalan dekh raha hoon
Roshni waalon andheron mein bhii jeena siikho mein aaftaab ke pairon mein thakan dekh raha hoon |
Sobia
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment