Mehsoos
Dil ke daryaa mein utar ke dekho Tum mohabbat mujh se kar ke dekho
Phir tumhein meri talab ho shaayad Tum kabhi mujh se bichar ke dekho
Ishq ka saaghar bohat hai gehraa Doob kar khud bhi ubhar ke dekho
Dunya phir lagne lagegi dilkash Isko tum meri nazar se dekho
Pyaar kehte hain kise,zaraa tum Meri baahon mein bikhar ke dekho
Mera gham mehsoos karna ho to Meri raahon se guzar ke dekho
Kya asar hota hai berukhi ka? Meri chahat se mukar ke dekho
Jo mohabbat ne hai dekha,tum bhi Uski aankhon mein sanwar ke dekho
Sans roknay say pehlay aik jhalak dikha jana Bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata | | | | | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment