Saturday, May 12, 2012

*~* VuPak2009 *~* Anjaan raahoo pe

401.jpg picture by shaheenz

Youn tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayee hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Mujhe yeh dua maangne ki aadat si ho gayee hai

Kab tak jhutlaoge un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayee hai

Na jane kiyo shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
mujhe iss chehre ko ashqo mein chupane ki aadat si ho gayee hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi day ga
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayee hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samaj sake
Logo ko mujhe nasamajh kehne ki aadat si ho gayee hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai Saahil
Mujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai

webText03.jpg

Shaheenz_com_01.jpg picture by shaheenz

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.

No comments:

Post a Comment