---- Haadsa -----
Ummed ki maine kis se, intizaar kiya maine kiska, bhigoye kyon maine aankhen, bhooloon kyon main usko, saath mere jisne ye haadsa kiya hai.
Kya dhoondta hai har shai mein, kya mil gaya aaj tujhko, kyon yaad mein hai shaamil, kyon har saans mein hai ab bhi, saath mere jisne ye haadsa kiya hai.
Har angdayion ko dekhoon, har shahnayion ko dekhoon, har noor mein hai wo shaamil, har baat mein hai wo ab bhi, saath mere jisne ye haadsa kiya hai.
Har jugnuon se poochha, har taaron se bhi poochha, har raat ke safar mein, kyon dhoondta hoon ab bhi, saath mere jisne ye haadsa kya hai...!!! |
Sobia
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment