Har soo dikhaa_ii dete hai.n vo jalvagaar mujhe kyaa-kyaa fareb detii hai merii nazar mujhe
aayaa na raas naalaa-e-dil kaa asar mujhe ab tum mile to kuchh nahii.n apnii Khabar mujhe
Daalaa hai beKhudii ne ajab raah par mujhe aa.Nkhei.n hai.n aur kuchh nahii.n aataa nazar mujhe
karnaa hai aaj hazrat-e-naaseh se saamnaa mil jaaye do gha.Dii ko tumhaarii nazar mujhe
yak_saa.N hai husn-o-ishq kii sarmastiyo.n kaa rang un kii Khabar unhei.n hai na apnii Khabar mujhe
mai.n duur huu.N to ruuh-e-suKhan mujh se kis liye tum paas ho to kyo.n nahii.n aate nazar mujhe
dil leke meraa dete ho daaG-e-"jigar" mujhe ye baat bhuulne kii nahii.n umr bhar mujhe- Jigar Moradabadi
| میں اک شاعر دکھاں بھریا دکھاں دا شیدائی اپنی لگے، اپنی جاپے، مینوں پیڑ پرائی
جدوں میں دینے ولوں ویکھاں میرا دل کرلاوے اٹھے پہر خدادے مینوں ایہوں چنتا کھاوے
(انور مسعود) | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment