Ajeeb terha se utri hai ab k tanhai
Dewar-o-dar se baras nay lagi hai tanhai
ye merey ghar ki udasi se dar gai shayad
lipat k mujh se galay ro rahi hai tanhai
chalo k sham hui ab to lautna hai mujhey
k merey ghar pay meri muntazir hai tanhai
main ja k us ko sonata hon hal-e-dil apna
phir apna haal sonati hai mujh ko tanhai
woh rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
meri rafeeq -------meri razdar --------tanhai
bari talash se us ko mila hai ghar mera
phiri hai merey lia dar badar ye tanhai
kabhi yahan bhi to qadmo ki aahatain aain
mujhi se kehnay lagi hai ye meri tanhai
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment