tery hoty janam lia hota
koi dosra na muj sa hota
sans lita to aur main ji uthta
kash maka ki main faza hota
hijrtoon main prao hota main
aur to kuch deer ko ruka hota
tery hujry ky aas paas kahain
main koi kacha rasta hota
bech Taif be-wakat sang zani
tery lab peh saji dua hota
kisi gazwa main zakhmi ho kar main
tery kadmoon main ja girra hota
kash Uhad main shareek ho sakta
aur baki na per bacha hota
teri kamli ka sood kion na hoa
tery shanoo peh jholta hota
choob hota main teri chokhat ki
ya tery hath la asah hota
teri pakeeza zindgi ka main
koi gumnaam wakia hota
lafz hota main kisi ayaat ka
tery hont se ada hota
main koi jangjo arab hota
tery samny jhuka hota
main bhi hota tera ghulam koi
lakh kehta na main raha hota
soochta hoon tab janam lia hota
jany per kia se kai hoa hota
chand hota tery zmany ka
per tery hukam se batta hota
pani hota udas chashmoon ka
tery kadmoon main beh gia hota
poda hota main jalty sehra main
aur tery hath se lga hota
teri suhbat mujy mili hoti
main bhi tab kitna khosh-nma hota
muj peh parti jo teri chasham e karam
admi kia main mujza hota
tukra hota main ek badal ka
aur tery sath ghomta hota
asman hota ehd e nabvi ka
tuj ko herat se dekhta hota
khak hota main teri galion ki
aur tery paon chomta hota
peer hota khajoor ka main koi
jis ka phal to ny kha lia hota
bacha hota gareeb beva ka
sar teri good main chupa hota
rasta hota tery guzrany ka
aur tera rasta dekhta hota
but hi hota main khana kaba main
tery hath se fana hota
muj ko bnata gaar Hasan
aur mera naam bhi hira hota
_______ استغفر الله _______
!...کاش آزاد قبیلے کے سخنور ہوتے
!..ہم محاذوں پر نہ بکتے تو سکندر ہوتے
خود فریبی کے خوابوں میں رہے ہم ورنہ
!....اپنی اوقات میں رهتے تو قلندر ہوتے
موج کوثر کی قسم ہم تھے محبت کے والی
خاک کے در پے نہ جھکتے تو سمندر ہوتے
آنکھ نی خواب کے لالچ میں خیانت کر لی
! .. ورنہ ہم جاگتی رتوں کے پیامبر ہوتے
___________________
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment