Saturday, March 6, 2010

(NVU) Usey Apni Farda Ki Fikar Thi






  


Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.


Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.


Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.


Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.


Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.


Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya,

Mujha Bus woh Itna Hi Keh Saka,
Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha

 

 

--
VISIT "MUQADAS FUND WEBSITE"
http://muqadas-fund.sajidsaif.com/
 
 
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/new-virtual-university-pakistan?hl=en

No comments:

Post a Comment