Kisi Bhi Shaqs Ka Mein Dil Dukhane Se Darti Hoon Dagha Khati Hoon Khud Laikin Daga Dene Se Darti Hoon Mein Munsif Hoon Zamane Ki Roosh Ko Dekh Kar Laikin Jo Mujrim Hain Unhe Bhi Saza Dene Se Darti Hoon Gadagar Ka Takaburr Dekh Kar Mein Dour-E-Hazir Me Fakhiroun Ko Bhi Kuch Rah-E-Khuda Dene Se Darti Hoon Jo Apne Mohsinoun Ki Qaderdani Se Hain Naa Waqif Mein Uss Kamzarf Insaan Ko Dua Dene Se Bhi Darti Hoon Jo Shar Angeez Hain Mujhko Woh Yun Buzzdil Samajhte hain Ke Mein Nafrat Ke Sholoun Ko Hawa Dene Se Darti Hoon Rahe Hain Muddatoun Aaludah Jo Khud Khoon-E-Insaan Se Unhi Hathoun Ko Mein Hath Milane Se Darti Hoon Aandhiyoun Ki Nagri Me Aaftab Apni Tajjali Se Shikasta Aaiyanoun Ko Bhi Jala Dene Se Darti Hoon http://groups.yahoo.com/group/Shaheen_Urdu_Love/ http://groups.yahoo.com/group/MOHABBAT_AaP_KE/ | | | | | | | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
Visit this group at
http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
For more options, visit
https://groups.google.com/groups/opt_out.
No comments:
Post a Comment