Gulshan ki baharoon main, Rangeen nazaroon main, jab tum mujhey dhoondo ge, aankhon main nami hogi, mehsoos tumhein har dum, phir meri kami hogi......
Aakash pe jab taaray, sangeet sunaye ge, beetay hue lamhoon ko, aankhon main sajayein ge, tanhai ke sholon se, jab aaag lagi hogi mehsoos tumehin har dum phir meri kami hogi,
Sawan ki ghataon ka jab shor suno ge tum, bikhray hue maazi ke tukdo ko chuno gay tum sapno ke chehray par jab dhool jami hogi mehsoos tumhein har dum phir meri kami hogi
Jab naam mera lo ge tum kaanp rahay ho ge aanso bharay daaman se munh dhaanp rahey ho ge rangeen ghataon ki jab shaaam ghani hogi mehsoos tumhein har dum phir meri kami hogi........ ...... AJEEB SA THA
NAZAR MAIN ZULMAT, BADAN MAIN THANDAK, JAMAL KITNA AJEEB SA THA
MAIN OS KI CHAHAT MAIN GHAR SE NIKLA TO HAAL KITNA AJEEB SA THA
NA MAIN NE US KO KHATOOT LIKHE NA OS NE MERI PANAH CHAHI
DONOO'N KO APNI BEKHUDI PE MALAAL KITNA AJEEB SA THA
WO APNI RAATOON MAIN CHAND DEKHE, MAIN APNI RAATO MAIN OS KO SOOCHON
BADALTE LAMHOON MAIN SOOCH KA YE VISAAL KITNA AJEEB SA THA
YE ZEEEST(life) TANHA HI KAAT LO GE JO MAIN NE POOCHA TO RO DIYA WO
JAWAAB KITNA AJEEB SA THA SAWAAL KITNA AJEEB SA THA Best Poetry Images http://www.shaheenz.com | | | | | |
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
No comments:
Post a Comment